Sunday, February 23, 2014

Na jaane kaha kho gaya hun main !

Kuch khwab hai mann mein mere 
udaan bharne ko hai ye khade, 
gire na ye kabhi, honslo se hu bharta, 
na jaane kyun kho gaya hun main, 
chalte huye apni manzil talaashta. 

Kabhi milti mujhe koi ek disha, 
milti kabhi mujhe dusri koi, 
magar chalna hai inhi par mujko, 
iski mujhe samajh na hoye. 
Dhundli kiran ki roshni mein 
mann mera yeh vicharta, 
na jaane kyun kho gaya hun main, 
ujaale mein apni manzil talaashta. 

Tarkeebon ki thi jaha chahal pahal, 
sannaate se bhar gaya hai vo mahal. 
Jazbe ka naamo nishaan nahi ab, 
junoon ka jaha sher tha dahaadta, 
na jaane kyun kho gaya hun main, 
un galiyaro mein apni manzil talaashta. 

Bhul gaya tha main is baat ko, 
thi manzil meri talaashna khud ko, 
khoj lunga apne aap ko pukaarta, 
na jaane kaha kho gaya hun main, 
dusro mein hun khud ko talaashta.

No comments:

Post a Comment